आज देश मे क्या चल रहा है - जरा सोचने की जरूरत है
Aaj ke time me jaha . desh or duniya , bulandiyo ko chho
rahi hai
Vahi aaj hamare desh me log hindu muslim or dharm pakhand me
fase huye hai
Aaj aisi halaat me hai hamara bharat desh , ki jaha
insaniyat ki koi value hi nahi hai
Aakhir kon h vo log jo , logo ke dimag me ye sab bhar rahe
hai
Jo logo ke priti ek dusre se nafrat sikhate hai
Bat agar agyaan logo ki hoti to kuchh socha bhi jaa sakta
tha , pr aaj naami girami log padhe likhe
Uchch siksha liye baithe log , jab ye nafrat bhari bate
paroste hai to sochna bhi padta hai
Ki hamare desh ke yuva kis mod pr ja rahe hai ,
Aaj social media me jaha pr bhi dekho yahi dekhne ko milta
hai , jaise unme kattarta koot koot ke bari gayi ho ,
Aakhir ye kattarta aayi kaha se ,
Ye kattarta unhi logo se aayi hai jo log iska sahara lekar ,
apna fayda chahte hai
Chahe vo rajneeti ho ya kisi ek dharm ke theke daro ko use koi
fayda mil raha ho
शोसल मीडिया
Social media me aaj hum chahe jis taraf dekhe , chahe vo
facebook ki baat ho ya twitter ho ya youtube kisi bhi plateform ho har jagah
aaj nafrat kee raajneeti failee huyi hai
Jisne logo o kattar banne pr majboor bannne pr majboor kar
diya
Sirf kuchh hi log hote hai jo aisi samagri ko failate hai ,
Kuchh naami girami neta bhi kuchh aise bhashan dete najar
aashani se aa jate hai jo kisi ek varg ke logo ke khilaf nafrat kaa beej bote
hai
Pr is pr koi action nahi liya jaata
मैंन सट्रीम मीडिया –
Baat agar main streem media ki kare to vaha bhi aise kayi aise
program chalaye jaate hai jai jaha desh ke bade bade neeta aakar logo me nafrat
kee bate karte hai
Or main streem media me baithe log bhi ise bade roop me
pracharit karte hai
Jis main streem media ko log pahle apni awaaj ko uthane ke
liye use karte the ,
Jab vahi media ye sab karne pe utar aaye to logo ka kya hoga
sayad aap samjh hi sakte hai
Pr social media me jaha ek taraf log nafrat fila rahe , vahi
kuchh log hai jo insaniyat aaj bhi kaayam kiye huye hai , jo in logo ka tark
purvak virodh karte huye dikhayi dete hai
Unka tark jo hota hai uska jawab bahut kam logo ke pass hota
hai , pr kuchh hi log hote hai jo is sabko
matlab sahi or galat ka fark kar paate hai
Kyuki inka reech ek seemit logo tak hii hotaa hai
आज की ताज़ा हालात -
Karna chahta hai , vo bhi roojgaar ki baat uthana chahta hai
, pr aaj ki raajneeti ne unke dimag pr jahar bhar ke rakha hua hai
Ki tumhara dharm khatre me hai , or or vo log aaj is haalat
me hai ki vo sarkaar ki bhakti me itne leen ho gaye ki , apni awaaj bhi nhi
utha pa rahe
Or agar koi or sarkaar se sawaal karta hai to unhe lagta hai
ki vo sarkaar ka virodh kar rahe hai
Or unke dimaag me baitha hai ki dharm khatre me hai isliye ,
vo aise logo ko bura bolte bhi najar aa jaate hai
Aaj ki halat aisi hai ki naa logo ke pass roojgaar hai , naa
khane ko khana hai ,
Desh ki GDP bilkul neeche hai , banks marge ho rahee hai ,
sarkari samsthaye beechi ja rahi hai
Desh kee eke k cheej ka rate fix ho rakha hai
Pr fir bhi andhbhakt log bhakti me choor hai , vo log isi ko vikash kahte hai
Agar aisa hi chalta raha to kya hoga desh ka
...........................jara soch ke bataaye
comment box me ...


No comments:
Post a Comment